Ishq Ko Tark-e-junun Se Kya Gharaz

ishq ko tark-e-junun se kya gharaz

charKH-e-gardan ko sukun se kya gharaz

dil mein hai ai KHizr gar sidaq-e-talab

rah-rau ko rah-numon se kya gharaz

hajiyo hai hum ko ghar wale se kaam

ghar ke mehrab o sutun se kya gharaz

gunguna kar aap ro paDte hain jo

un ko chang o arghanun se kya gharaz

nek kahna nek jis ko dekhna

hum ko taftish-e-darun se kya gharaz

dost hain jab zaKHm-e-dil se be-KHabar

un ko apne ashk-e-KHun se kya gharaz

ishq se hai mujtanib zahid abas

sher ko said-e-zabun se kya gharaz

kar chuka jab sheKH tasKHir-e-qulub

ab use duniya-e-dun se kya gharaz

aae ho 'haali' pa-e-taslim yan

aap ko chun-o-chagun se kya gharaz

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ko Tark-e-junun Se Kya Gharaz In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Ishq Ko Tark-e-junun Se Kya Gharaz is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Ishq Ko Tark-e-junun Se Kya Gharaz for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Ishq Ko Tark-e-junun Se Kya Gharaz in PDF.