MiTTi Ka Diya

jhuTpuTe ke waqt ghar se ek miTTi ka diya

ek buDhiya ne sar-e-rah la ke raushan kar diya

taki rah-gir aur pardesi kahin Thokar na khaen

rah se aasan guzar jae har ek chhoTa baDa

ye diya behtar hai un jhaDon se aur us lamp se

raushni mahlon ke andar hi rahi jin ki sada

gar nikal kar ek zara mahlon se bahar dekhiye

hai andhera ghup dar-o-diwar par chhaya hua

surKH-ru aafaq mein wo rahnuma minar hain

raushni se jin ki mallahon ke beDe par hain

hum ne in aali binaon se kiya akasr sawal

aashkara jin se un ke baniyon ka hai jalal

shan-o-shaukat ki tumhaari dhum hai aafaq mein

dur se aa aa ke tum ko dekhte hain ba-kamal

qaum ko is shan-o-shaukat se tumhaari kya mila

do jawab is ka agar rakhti ho yara-e-maqal

sar-nigun ho kar wo sab bolin zaban-e-haal se

ho saka hum se na kuchh al-infial al-infial

baniyon ne tha banaya is liye goya hamein

hum ko jab dekhen KHalaf aslaf ko roya karen

shauq se us ne banaya maqbara ek shandar

aur chhoDa us ne ek aiwan-e-ali yaadgar

ek ne duniya ke paude bagh mein apne lagae

ek ne chhoDe dafine sim-o-zar ke be-shumar

ek muhibb-e-qaum ne apne mubarak hath se

qaum ki talim ki buniyaad Dali ustuwar

hogi aalam mein kaho sarsabz ye pichhli murad

ya wo aglon ki umiden laengi kuchh barg-o-bar

chashma-e-sar jyun hai jo bahta rahega yan wahi

sab utar jaengi chaDh chaDh naddiyan barsat ki

(5581) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTTi Ka Diya In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. MiTTi Ka Diya is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem MiTTi Ka Diya for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download MiTTi Ka Diya in PDF.