Qaumi Tarana

ai mere hindostan jannat-nishan

bah rahi hain tere sine par wo shital naddiyan

khelta hai jin ki lahron par sururon ka jahan

jhumta hai jin sururon mein shabab-e-jawedan

pasbani jin ki karta hai himala sa jawan

ai mere hindostan jannat-nishan

tere baghon ki lahak se jhankti hai zindagi

zindagi wo maut ko bhi jis se ho sharmindagi

jis se hasil ho harim-e-ruh ko tabindagi

KHuld-zaron ka hai tere gulsitanon par guman

ai mere hindostan jannat-nishan

tere parbat sim-o-zar ka gungunata aabshaar

tere chashme barbat-e-nahid ka zarrin tar

tere jangal KHuld ke sapne ki sundar si bahaar

mast jhonkon ki zaban par madh bhari mausiqiyan

ai mere hindostan jannat-nishan

teri mastana hawaon mein jawani zau-fagan

zarre zarre se numayan tur ka sa bankpan

muskuraati hai fazaon mein nashili si phaban

teri wadi mein surur-o-kaif ki nahren rawan

ai mere hindostan jannat-nishan

baam-e-azadi ke KHush-anjam zine ke liye

teri ulfat ke nashile jam pine ke liye

yani teri god mein aazad jine ke liye

bijliyan ban kar girenge ghair par hum na-gahan

ai mere hindostan jannat-nishan

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaumi Tarana In English By Famous Poet Altaf Mashhadi. Qaumi Tarana is written by Altaf Mashhadi. Read famous Poem Qaumi Tarana for youth and Student by Altaf Mashhadi. Free Download Qaumi Tarana in PDF.