Aaghosh Mein Jo Jalwagar Ek Naznin Hua

aaghosh mein jo jalwagar ek naznin hua

angushtari bana mera tan wo nagin hua

raunaq-faza lahad pe jo wo mah-jabin hua

gumbad hamari qabr ka charKH-e-barin hua

kanda jahan mein koi na aisa nagin hua

jaisa ki tera nam mere dil-nashin hua

raushan hua ye mujh pe ki fanus mein hai shama

hath us ka jalwagar jo tah-e-astin hua

rakhta hai KHak par wo qadam jab ki naz se

kahta hai aasman na kyun main zamin hua

raushan shabab mein jo hui sham-e-ru-e-yar

dud-e-charagh husn-e-KHat-e-ambarin hua

ya rab gira adu pe 'amanat' ke tu wo barq

do TukDe jis se shahpar-e-ruhul-amin hua

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaghosh Mein Jo Jalwagar Ek Naznin Hua In English By Famous Poet Amanat Lakhnavi. Aaghosh Mein Jo Jalwagar Ek Naznin Hua is written by Amanat Lakhnavi. Read famous Poem Aaghosh Mein Jo Jalwagar Ek Naznin Hua for youth and Student by Amanat Lakhnavi. Free Download Aaghosh Mein Jo Jalwagar Ek Naznin Hua in PDF.