Bhula Hun Main Aalam Ko Sarshaar Ise Kahte Hain

bhula hun main aalam ko sarshaar ise kahte hain

masti mein nahin ghafil hushyar ise kahte hain

gesu ise kahte hain ruKHsar ise kahte hain

sumbul ise kahte hain gulzar ise kahte hain

ek rishta-e-ulfat mein gardan hai hazaron ki

tasbih ise kahte hain zunnar ise kahte hain

mahshar ka kiya wada yan shakl na dikhlai

iqrar ise kahte hain inkar ise kahte hain

Takraata hun sar apna kya kya dar-e-jaanan se

jumbish bhi nahin karti diwar ise kahte hain

dil ne shab-e-furqat mein kya sath diya mera

munis ise kahte hain gham-KHwar ise kahte hain

KHamosh 'amanat' hai kuchh uf bhi nahin karta

kya kya nahin ai pyare aghyar ise kahte hain

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhula Hun Main Aalam Ko Sarshaar Ise Kahte Hain In English By Famous Poet Amanat Lakhnavi. Bhula Hun Main Aalam Ko Sarshaar Ise Kahte Hain is written by Amanat Lakhnavi. Read famous Poem Bhula Hun Main Aalam Ko Sarshaar Ise Kahte Hain for youth and Student by Amanat Lakhnavi. Free Download Bhula Hun Main Aalam Ko Sarshaar Ise Kahte Hain in PDF.