Zamzama Kis Ki Zaban Par Ba-dil-e-shad Aaya

zamzama kis ki zaban par ba-dil-e-shad aaya

munh na khola tha ki par bandhne sayyaad aaya

qad jo buTa sa tera sarw-e-rawan yaad aaya

ghash pe ghash mujh ko chaman mein tah-e-shamshad aaya

le uDi dil ko su-e-dasht hawa-e-wahshat

phir ye jhonka mujhe kar dene ko barbaad aaya

kis qadar dil se faramosh kiya aashiq ko

na kabhi aap ko bhule se bhi main yaad aaya

dil hua sarw-e-gulistan ke nazare se nihaal

shajar-e-qamat-e-dildar mujhe yaad aaya

ho gai qata asiri mein umid-e-parwaz

uD gae hosh jo par kaTne sayyaad aaya

ho gaya hasrat-e-parwaz mein dil sau TukDe

hum ne dekha jo qafas ko to falak yaad aaya

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamzama Kis Ki Zaban Par Ba-dil-e-shad Aaya In English By Famous Poet Amanat Lakhnavi. Zamzama Kis Ki Zaban Par Ba-dil-e-shad Aaya is written by Amanat Lakhnavi. Read famous Poem Zamzama Kis Ki Zaban Par Ba-dil-e-shad Aaya for youth and Student by Amanat Lakhnavi. Free Download Zamzama Kis Ki Zaban Par Ba-dil-e-shad Aaya in PDF.