BaiTha Hai Sogwar Sitamgar Ke Shahr Mein

baiTha hai sogwar sitamgar ke shahr mein

kis ko pukare aaina patthar ke shahr mein

beja nahin fazaon ka hairat mein Dubna

itna sukut aur suKHan-war ke shahr mein

is daur mein usi ko hunar-mand maniye

jina nahin paDa jise mar mar ke shahr mein

manzil qarib aai to rasta bhula gaya

phirte hain KHak chhante rahbar ke shahr mein

suraj nazar bacha ke to guzra na tha magar

utrin nahin shuaen muqaddar ke shahr mein

insan kahun unhen ki farishton ka nam dun

jo log dard-mand hain be-ghar ke shahr mein

shayad nikal hi aae koi chaaragar 'figar'

ek bar aur dekh sada kar ke shahr mein

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaiTha Hai Sogwar Sitamgar Ke Shahr Mein In English By Famous Poet Amar Singh Figar. BaiTha Hai Sogwar Sitamgar Ke Shahr Mein is written by Amar Singh Figar. Read famous Poem BaiTha Hai Sogwar Sitamgar Ke Shahr Mein for youth and Student by Amar Singh Figar. Free Download BaiTha Hai Sogwar Sitamgar Ke Shahr Mein in PDF.