Kal Ek ShaKHs Jo Achchhe-bhale Libas Mein Tha

kal ek shaKHs jo achchhe-bhale libas mein tha

barahna aaj wo utra hua gilas mein tha

hum aaftab-e-daraKHshan jise samajhte the

wo ek wahm ka jugnu hawas ki ghas mein tha

zamin-o-arsh ki taqsim ke zamane mein

bashar asir-e-junun tha kahan hawas mein tha

azal se pahle hi dhun thi husul-e-paikar ki

ye kaenat ka KHaka mere qayas mein tha

main kya sulagte samundar se mangta pani

wo KHud bhi ek zamane se gharq pyas mein tha

use nasib kafan bhi nahin hua aaKHir

ki hisse-dar jo us khet ki kapas mein tha

hum us sawal ka ab tak jawab de na sake

jo ek 'figar' ki pur-ashk chashm-e-yas mein tha

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Ek ShaKHs Jo Achchhe-bhale Libas Mein Tha In English By Famous Poet Amar Singh Figar. Kal Ek ShaKHs Jo Achchhe-bhale Libas Mein Tha is written by Amar Singh Figar. Read famous Poem Kal Ek ShaKHs Jo Achchhe-bhale Libas Mein Tha for youth and Student by Amar Singh Figar. Free Download Kal Ek ShaKHs Jo Achchhe-bhale Libas Mein Tha in PDF.