Ab Qabile Ki Riwayat Hai Bikharne Wali

ab qabile ki riwayat hai bikharne wali

har nazar KHud mein koi shahr hai bharne wali

KHush-gumani ye hui sukh gaya jab dariya

ret se ab meri kashti hai ubharne wali

KHushbuon ke nae jhonke hain har ek dhaDkan mein

kaun si rut hai mere dil mein Thaharne wali

kuchh parinde hain magan mausami parwazon mein

ek aandhi hai par-o-baal katarne wali

hum bhi ab sikh gae sabz pasine ki zaban

sang-zaron ki jabinen hain sanwarne wali

tez dhun par the sabhi raqs mein kyun kar sunte

chand lamhon mein balaen thin utarne wali

bas usi waqt kai jwala-mukhi phuT paDe

motiyon se meri har naw thi bharne wali

Dhak liya chand ke chehre ko siyah baadal ne

chandni thi mere aangan mein utarne wali

dafatan TuT paDe chand bagule 'amabar'

KHushbuen thin meri basti se guzarne wali

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Qabile Ki Riwayat Hai Bikharne Wali In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Ab Qabile Ki Riwayat Hai Bikharne Wali is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Ab Qabile Ki Riwayat Hai Bikharne Wali for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Ab Qabile Ki Riwayat Hai Bikharne Wali in PDF.