Ek Riyazat Ye Bhi

wahi dariya kinare

roz apni bans ki bansi liye baiTha hua wo shaKHs

kitni be-niyazi se

har ek lamhe ko apni KHush-dili se dad deta hai

ki jis ke ru-e-raushan par qanaat morchhal jhalti hui moti luTati hai

sahar-ta-sham lahron se wo apni baat kahta hai

hawaon ki madhur sargoshiyon par khilkhilata hai

parindon ke suhane chahchahon par jhum uThta hai

kisi aawaz ki aahaT pe kajri gungunata hai

magar us ki nazar Dori ki har jumbish pe rahti hai

koi machhli phansi to is ke sine mein

kai rangon ki subhen dafatan marpash hoti hain

magar aisa bhi hota hai

kisi din hath KHali apne ghar wo lauT jata hai

kai masum aankhen jab sawali ban ke uThti hain

wahi manus si ek muskurahaT is ke chehre ki

kisi nannhi si machhli ki tarah ek jast leti hai

shikasta jhonpaDe mein ek bijli kaund jati hai

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Riyazat Ye Bhi In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Ek Riyazat Ye Bhi is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Ek Riyazat Ye Bhi for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Ek Riyazat Ye Bhi in PDF.