Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai

mujhe KHabar hai

ye aabnusi chaTTan jo dub ke sabz taKHte pe aa giri hai

nai subuk narm pattiyon ka singhaar pi kar

sunahre lamhon ki sans mein phans ban kar aTak gai hai

mujhe yaqin hai

ki mausamon ke tilism ye tirgi uDa kar

isi sulagti chaTTan par dub ki sabz zulfen bikher denge

mujhe yaqin hai

mere kaTe bazuon ki taqat meri ragon se nahin gai hai

mere lahu ke ye surKH dhaare nai hikayat ke pesh-rau hain

nai umangon nae ujalon nae shafaq-zar ke amin hain

mujhe KHabar hai

ki ghol chiDiyon ke lashkar-e-abrha ki ab kuchh KHabar na lenge

hamari aankhon mein raushni hai magar dilon mein siyahiyan hain

udasiyon ke ghane dhuwen mein chhupi hui kaamraniyan hain

mujhe yaqin hai

ki is faza mein faraaz-e-sahra-e-be-aman hain

hazaron masum eDiyan ragaD chuke hain ragaD rahe hain

ubal paDega zarur koi hayat-afroz aab-e-shirin

sadaqaton ke bahaar-zaron ko aaKHirash tazgi milegi

mujhe KHabar hai mujhe yaqin hai

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai In English By Famous Poet Ambar Bahraichi. Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai is written by Ambar Bahraichi. Read famous Poem Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai for youth and Student by Ambar Bahraichi. Free Download Mujhe KHabar Hai Mujhe Yaqin Hai in PDF.