Ayan Donon Se Takmil-e-jahan Hai

ayan donon se takmil-e-jahan hai

zamin gum ho to phir kya aasman hai

tilsmati koi qissa hai duniya

yahan har din nai ek dastan hai

jo tum ho to ye kaise man lun main

ki jo kuchh hai yahan bas ek guman hai

saron par aasman hote hue bhi

jise dekho wahi be-saeban hai

kisi dharti ki shayad ret hogi

hamare waste jo kahkashan hai

agar tha chand-roza mausam-e-gul

to phir do chaar hi din ki KHizan hai

jise umr-e-rawan kahte hain 'amabar'

chalo dekhen kahan tak raegan hai

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ayan Donon Se Takmil-e-jahan Hai In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Ayan Donon Se Takmil-e-jahan Hai is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Ayan Donon Se Takmil-e-jahan Hai for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Ayan Donon Se Takmil-e-jahan Hai in PDF.