Dhyan Mein Aa Kar BaiTh Gae Ho Tum Bhi Nan

dhyan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi nan

mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhi nan

de jate ho mujh ko kitne rang nae

jaise pahli bar mile ho tum bhi nan

har manzar mein ab hum donon hote hain

mujh mein aise aan base ho tum bhi nan

ishq ne yun donon ko aamez kiya

ab to tum bhi kah dete ho tum bhi nan

KHud hi kaho ab kaise sanwar sakti hun main

aaine mein tum hote ho tum bhi nan

ban ke hansi honTon par bhi rahte ho

ashkon mein bhi tum bahte ho tum bhi nan

meri band aankhen tum paDh lete ho

mujh ko itna jaan chuke ho tum bhi nan

mang rahe ho ruKHsat aur KHud hi

hath mein hath liye baiThe ho tum bhi nan

(4763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhyan Mein Aa Kar BaiTh Gae Ho Tum Bhi Nan In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Dhyan Mein Aa Kar BaiTh Gae Ho Tum Bhi Nan is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Dhyan Mein Aa Kar BaiTh Gae Ho Tum Bhi Nan for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Dhyan Mein Aa Kar BaiTh Gae Ho Tum Bhi Nan in PDF.