Sitara-bar Ban Jae Nazar Aisa Nahin Hota

sitara-bar ban jae nazar aisa nahin hota

har ek ummid bar aae magar aisa nahin hota

mohabbat aur qurbani mein hi tamir muzmar hai

dar-o-diwar se ban jae ghar aisa nahin hota

sabhi ke hath mein misl-e-sifal-e-nam nahin rahna

jo mil jae wahi ho kuza-gar aisa nahin hota

kaha jalta hua ghar dekh kar ahl-e-tamasha ne

dhuan aise nahin uThta sharar aisa nahin hota

kisi ki mehrban dastak ne zinda kar diya mujh ko

main patthar ho gai hoti agar aisa nahin hota

kisi jazbe ki shiddat munhasir takmil par bhi thi

na paya ho to khone ka bhi Dar aisa nahin hota

(996) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitara-bar Ban Jae Nazar Aisa Nahin Hota In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Sitara-bar Ban Jae Nazar Aisa Nahin Hota is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Sitara-bar Ban Jae Nazar Aisa Nahin Hota for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Sitara-bar Ban Jae Nazar Aisa Nahin Hota in PDF.