Zindagi-bhar Ek Hi Kar-e-hunar Karte Rahe

zindagi-bhar ek hi kar-e-hunar karte rahe

ek gharaunda ret ka tha jis ko ghar karte rahe

hum ko bhi malum tha anjam kya hoga magar

shahr-e-kufa ki taraf hum bhi safar karte rahe

uD gae sare parinde mausamon ki chah mein

intizar un ka magar buDhe shajar karte rahe

yun to hum bhi kaun sa zinda rahe is shahr mein

zinda hone ki adakari magar karte rahe

aankh rah takti rahi dil us ko samjhata raha

apna apna kaam donon umr-bhar karte rahe

ek nahin ka KHauf tha so hum ne puchha hi nahin

yaad kya hum ko bhi wo diwar-o-dar karte rahe

(1516) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi-bhar Ek Hi Kar-e-hunar Karte Rahe In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Zindagi-bhar Ek Hi Kar-e-hunar Karte Rahe is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Zindagi-bhar Ek Hi Kar-e-hunar Karte Rahe for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Zindagi-bhar Ek Hi Kar-e-hunar Karte Rahe in PDF.