Koi Ehsas Mukammal Nahin Rahne Deta

koi ehsas mukammal nahin rahne deta

dard ka sath musalsal nahin rahne deta

hosh ki sard nigahon se take jata hai

kaun hai jo mujhe pagal nahin rahne deta

waqt tufan-e-bala-KHez ke gardab mein hai

sar pe mere mera aanchal nahin rahne deta

hath phailaun to chhu leta hai jhonke ki tarah

ek pal bhi mujhe be-kal nahin rahne deta

KHwab ke taq pe rakkhi hain ye aankhen kab se

wo meri nind mukammal nahin rahne deta

mere is shahr mein ek aaina aisa hai ki jo

mujh ko us shaKHs se ojhal nahin rahne deta

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Ehsas Mukammal Nahin Rahne Deta In English By Famous Poet Ambarin Salahuddin. Koi Ehsas Mukammal Nahin Rahne Deta is written by Ambarin Salahuddin. Read famous Poem Koi Ehsas Mukammal Nahin Rahne Deta for youth and Student by Ambarin Salahuddin. Free Download Koi Ehsas Mukammal Nahin Rahne Deta in PDF.