Aaina Dekh Kar Na To Shishe Ko Dekh Kar

aaina dekh kar na to shishe ko dekh kar

hairan dil hai aap ke chehre ko dekh kar

ye waqia bhi KHub sar-e-rah-guzar hua

patthar ne munh chhapa liye shishe ko dekh kar

bazar se guzarte hue lag raha hai Dar

bachcha machal na jae khilaune ko dekh kar

jugnu ki koshishon se sahar kaise ho gai

hairan hain andhere ujale ko dekh kar

sach bolne ka hausla kuchh aur baDh gaya

'amabar' faraaz-e-dar pe sachche ko dekh kar

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Dekh Kar Na To Shishe Ko Dekh Kar In English By Famous Poet Amber Waseem Allahabadi. Aaina Dekh Kar Na To Shishe Ko Dekh Kar is written by Amber Waseem Allahabadi. Read famous Poem Aaina Dekh Kar Na To Shishe Ko Dekh Kar for youth and Student by Amber Waseem Allahabadi. Free Download Aaina Dekh Kar Na To Shishe Ko Dekh Kar in PDF.