Qissa-e-KHak To Kuchh KHak Se Aage Tak Tha

qissa-e-KHak to kuchh KHak se aage tak tha

gili miTTi ka safar chaak se aage tak tha

main bashar tha so mere panw se lipTi thi zamin

aur charcha mera aflak se aage tak tha

shoala-e-ishq gham-e-hijr sar-e-shahr-e-hujum

ek gareban tha sad-chaak se aage tak tha

KHamushi karb lahu rang mein Dube hue phul

marhala dida-e-namnak se aage tak tha

lauT aaya hun yahi dekh ke ek dasht se mein

ek jubba meri poshak se aage tak tha

rah gain shahr-e-KHirad mein hi ulajh kar sochen

ek jahan aur bhi idrak se aage tak tha

dast-e-suqraat pe rakkhe hue pyale ka amin

zahr-e-qatil kisi tiryak se aage tak tha

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qissa-e-KHak To Kuchh KHak Se Aage Tak Tha In English By Famous Poet Ameen Adirai. Qissa-e-KHak To Kuchh KHak Se Aage Tak Tha is written by Ameen Adirai. Read famous Poem Qissa-e-KHak To Kuchh KHak Se Aage Tak Tha for youth and Student by Ameen Adirai. Free Download Qissa-e-KHak To Kuchh KHak Se Aage Tak Tha in PDF.