Jab Koi Bhi KHaqan Sar-e-baam Na Hoga

jab koi bhi KHaqan sar-e-baam na hoga

phir ahl-e-zamin par koi ilzam na hoga

kal wo hamein pahchan na pae sar-e-rahe

shayad unhen ab hum se koi kaam na hoga

phir kaun samajh paega asrar-e-haqiqat

jab faisla koi bhi sar-e-am na hoga

ye ahd-e-rawan KHak-nishan dhyan mein rakkho

phir DhunDoge kis ko jo koi nam na hoga

banne ko hai ek rose parindon ka muqaddar

utrenge to ham-rang-e-zamin dam na hoga

mahfil mein agar zikr ho arbab-e-wafa ka

aisa nahin 'rahat' ki tera nam na hoga

(621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Koi Bhi KHaqan Sar-e-baam Na Hoga In English By Famous Poet Ameen Rahat Chugtai. Jab Koi Bhi KHaqan Sar-e-baam Na Hoga is written by Ameen Rahat Chugtai. Read famous Poem Jab Koi Bhi KHaqan Sar-e-baam Na Hoga for youth and Student by Ameen Rahat Chugtai. Free Download Jab Koi Bhi KHaqan Sar-e-baam Na Hoga in PDF.