Mere Badan Se Kabhi Aanch Is Tarah Aae

mere badan se kabhi aanch is tarah aae

lipaT ke mujh se mere sath wo bhi jal jae

main aag hun to mere pas koi kyun baiThe

main rakh hun to koi kyun kuredne aae

bhare dayar mein ab is ko kis tarah DhunDen

hawa chale to kahin bu-ham-nafas aae

ye raat aur riwayat ki ye zanjiren

gali ke moD se do lauTte hue sae

wahi badan wahi chehra wahi libas magar

koi kahan se 'basawan' ka mu-qalam lae

koi to baat hui hai ajib si 'rahat'

ki aaina bhi na wo chhoDe aur sharmae

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Badan Se Kabhi Aanch Is Tarah Aae In English By Famous Poet Ameen Rahat Chugtai. Mere Badan Se Kabhi Aanch Is Tarah Aae is written by Ameen Rahat Chugtai. Read famous Poem Mere Badan Se Kabhi Aanch Is Tarah Aae for youth and Student by Ameen Rahat Chugtai. Free Download Mere Badan Se Kabhi Aanch Is Tarah Aae in PDF.