Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai

tirgi hi tirgi hai baam-o-dar mein kaun hai

kuchh dikhai de to batlaen nazar mein kaun hai

kyun jalata hai mujhe wo aatish-e-ehsas se

main kahan hun ye mere diwar-o-dar mein kaun hai

zat ke parde se bahar aa ke bhi tanha rahun

main agar hun ajnabi to mere ghar mein kaun hai

chaak kyun hote hain pairahan gulon ke kuchh kaho

jhuk ke lahraata hua shaKH-e-samar mein kaun hai

jaise koi pa gaya ho apni manzil ka suragh

dhup mein baiTha hua rah-e-safar mein kaun hai

kanpta ja dekh kar izhaar ki tajsim ko

sochta ja aarzu-e-shisha-gar mein kaun hai

bas zara biphri hui maujon ki KHu mail rahi

ahl-e-sahil jaante to the bhanwar mein kaun hai

shor karta phir raha hun KHushk patton ki tarah

koi to puchhe ki shahr-e-be-KHabar mein kaun hai

main to diwana hun ek sang-e-malamat hi sahi

lekin itna soch lo shishe ke ghar mein kaun hai

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai In English By Famous Poet Ameen Rahat Chugtai. Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai is written by Ameen Rahat Chugtai. Read famous Poem Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai for youth and Student by Ameen Rahat Chugtai. Free Download Tirgi Hi Tirgi Hai Baam-o-dar Mein Kaun Hai in PDF.