Lambi Raat Se Jab Mili Uski Zulf-e-daraaz

lambi raat se jab mili us ki zulf-e-daraaz

khul kar sari gutthiyan phir se ban gain raaz

us ki ek aawaz se sharmaya sangit

sarangi ka soz kya kya sitar ka saz

mera qail ho gaya ye sara sansar

rang-e-naz mein jab mila mera rang-e-niyaz

sazon ka sangit kya payal ki jhankar

kaun sune is shor mein dil teri aawaz

un aankhon mein Dal kar jab aankhen us raat

main Duba to mil gae Dube hue jahaz

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lambi Raat Se Jab Mili Uski Zulf-e-daraaz In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Lambi Raat Se Jab Mili Uski Zulf-e-daraaz is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Lambi Raat Se Jab Mili Uski Zulf-e-daraaz for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Lambi Raat Se Jab Mili Uski Zulf-e-daraaz in PDF.