Main Hawa Hun Kahan Watan Mera

main hawa hun kahan watan mera

dasht mera na ye chaman mera

main ki har chand ek KHana-nashin

anjuman anjuman suKHan mera

barg-e-gul par charagh sa kya hai

chhu gaya tha use dahan mera

main ki TuTa hua sitara hun

kya bigaDegi anjuman mera

har ghaDi ek naya taqaza hai

dard-e-sar ban gaya badan mera

(3858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Hawa Hun Kahan Watan Mera In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Main Hawa Hun Kahan Watan Mera is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Main Hawa Hun Kahan Watan Mera for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Main Hawa Hun Kahan Watan Mera in PDF.