Aaina-KHane Ke Qaidi Se

zat ka aaina-KHana

jis mein raushan ek charagh-e-arzu

chaar-su

zafrani raushni ke daere

muKHtalif hain aainon ke zawiye

ek lekin aks-e-zat;

ek ikai par usi ki zarb se

kasrat-e-wahdat ka paida hai tilism

KHalwat-e-aina-KHana mein kahin koi nahin

sirf main!

main hi but

aur main hi but-parast!

main hi bazm-e-zat mein raunaq-afroz

jalwa-ha-e-zat ko deta hun dad!

jab hawa-e-shoKH ki mauj-e-sharir

toD jati hai kisi khiDki ke parde ka jumud

to bigaD jata hai khel

dew-qamat aks ko bauna bana deti hai bahar ki kiran

ai meri na-mustaid majhul zat

ai ki tu az-KHud nazar-band aaina-KHane mein hai

sochti hai tu kahegi an-kaha

aur kuchh kahti nahin!

sochti hai tu likhegi shahkar

aur kuchh likhti nahin!

sochti hai tu jahan-dari ki baat

aur kuchh karti nahin!

sochne hi sochne mein saat-e-taKHliq jab

tere shal hathon se jati hai phisal

to bilak paDti hai tu

ai meri na-mustaid majhul zat

KHalwat-e-aina-KHane se nikal

ai charagh-e-arzu

jis taraf zau-pash ho

jis taraf se shah-rah-e-justuju

tash aur shatranj ke shahon se bartar hai kahin

wo piyaada jo chale

wo piyaada jo chale KHud apni chaal

ai meri na-mustaid majhul zat

koi fikr

koi kaam!

koi baat!

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina-KHane Ke Qaidi Se In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Aaina-KHane Ke Qaidi Se is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Aaina-KHane Ke Qaidi Se for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Aaina-KHane Ke Qaidi Se in PDF.