Andhere Mein Sochne Ki Mashq

andhera tha

andhera lal-qila jis mein ek kala hayula tha

hazaron qumqumon ki raushni thi daera-dar-daera phir bhi

andhera tha

nigal Dala tha jis ne lal qile ko ghana gaDha andhera tha

hazaron qumqumon ki raushni mein pas ki chizen hi pas-manzar

andhera jin ka pas-e-manzar

saDak par har saDak par raushni ki dauD jari thi

andhere mein ghubar-o-gard ke uDte hue zarron ko raushan kar rahe the

baham munqate karte raushni ke daere

andhera kaTti-phaTti dauDti uDti bikharti raushni ko pi raha tha

andhere ka magarmachh

andhere ke samundar mein

ujale ki chamakti machhliyon ko apne danton mein dabae tairta tha

andhere ka magarmachh lal-qile par

baDi zahrili sansen chhoDta tha

nazar aata nahin tha lal-qila

ki is ke burj kangure dar-o-diwar ek kala hayula ban gae the

hayula ban gaya tha lal-qila

magar us ke wahan hone mein koi shak nahin tha

andhera tha

andhere ke samundar ki gupha mein lal-qila tha

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andhere Mein Sochne Ki Mashq In English By Famous Poet Ameeq Hanafi. Andhere Mein Sochne Ki Mashq is written by Ameeq Hanafi. Read famous Poem Andhere Mein Sochne Ki Mashq for youth and Student by Ameeq Hanafi. Free Download Andhere Mein Sochne Ki Mashq in PDF.