Shair Ki Duniya

hota hun jab main tanha ye sochta hun aksar

aabaadiyan hain achchhi ya jangalon ke manzar

shair hun main mera ho maskan alag jahan se

shahron ke shor-o-ghul se tarik aasman se

sae mein peD ke main bistar lagaun apna

ThanDi hawa ho aati bahta ho saf dariya

ranginiyan shafaq ki dil ko mere lubhaen

shams-o-qamar jahan ke qisse nae sunaen

qudrat ka ham-zaban hun aur us ke bhed paun

gahraiyon mein us ki goya utar main jaun

2

par aql ka hai kahna ye sab ghalat hai nadan

gungi hai teri qudrat manzar hain us ke be-jaan

be-kar hai agar tu dasht-o-jabal basae

be-sarfa hai agar tu hamdam unhen banae

shair tujhe hain kahte hai ishq tera jina

fitrat hai pak teri tu qalb-e-tur-e-sina

tu nur-e-sarmadi ki hai jhalkiyan dikhata

insan ko aasman ki sairen hai to karaata

tera qalam jahan hain halchal si Dalta hai

Dube ubhaarta hai girte sambhaalta hai

3

par kyun tujhe ai shair basti se hai kudurat

aabaadiyon mein pal kar aabaadiyon se nafrat

insan aur us ki fitrat parkhi nahin hai tu ne

aalam aur us ki wusat pai nahin hai tu ne

matam kahin bapa hai KHushiyan kahin hain hoti

iqbaal hai kahin to qismat kahin hai soti

jo ek taraf qaza ke tufan aa rahe hain

to ek taraf sahab-e-rahmat bhi chha rahe hain

tera hai rutba aali is bazm-e-zindagi mein

aa aa sharik ho ja is razm-e-zindagi mein

aalam ko ghaTa de aasaishen baDha de

sham-e-suKHan jala kar sab zulmaten haTa de

aa kab se muntazir hai aadam ka ye gharana

aabaad is mein ho ja teri yahi hai duniya

(620) Peoples Rate This

Ameer Aurangabadi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Shair Ki Duniya In English By Famous Poet Ameer Aurangabadi. Shair Ki Duniya is written by Ameer Aurangabadi. Read famous Poem Shair Ki Duniya for youth and Student by Ameer Aurangabadi. Free Download Shair Ki Duniya in PDF.