Mazid Ek Bar Par Bar-e-giran Rakkha Gaya Hai

mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai

zamin jo tere upar aasman rakkha gaya hai

kabhi tu chiKH kar aawaz de to jaan jaun

mere zindan mein tujh ko kahan rakkha gaya hai

meri nindon mein rahti hai sada tishna-dahani

mere KHwabon mein ek dariya rawan rakkha gaya hai

hawa ke sath phulon se nikalne ki saza mein

bhaTakti KHushbuon ko be-aman rakkha gaya hai

magar ye dil bahalta hi nahin go is ke aage

tumhaare baad ye sara jahan rakkha gaya hai

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazid Ek Bar Par Bar-e-giran Rakkha Gaya Hai In English By Famous Poet Ameer Imam. Mazid Ek Bar Par Bar-e-giran Rakkha Gaya Hai is written by Ameer Imam. Read famous Poem Mazid Ek Bar Par Bar-e-giran Rakkha Gaya Hai for youth and Student by Ameer Imam. Free Download Mazid Ek Bar Par Bar-e-giran Rakkha Gaya Hai in PDF.