Sarakti Jae Hai RuKH Se Naqab Aahista Aahista

sarakti jae hai ruKH se naqab aahista aahista

nikalta aa raha hai aaftab aahista aahista

jawan hone lage jab wo to hum se kar liya parda

haya yak-laKHt aai aur shabab aahista aahista

shab-e-furqat ka jaga hun farishto ab to sone do

kabhi fursat mein kar lena hisab aahista aahista

sawal-e-wasl par un ko adu ka KHauf hai itna

dabe honTon se dete hain jawab aahista aahista

wo bedardi se sar kaTen 'amir' aur main kahun un se

huzur aahista aahista janab aahista aahista

(1176) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sarakti Jae Hai RuKH Se Naqab Aahista Aahista In English By Famous Poet Ameer Minai. Sarakti Jae Hai RuKH Se Naqab Aahista Aahista is written by Ameer Minai. Read famous Poem Sarakti Jae Hai RuKH Se Naqab Aahista Aahista for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Sarakti Jae Hai RuKH Se Naqab Aahista Aahista in PDF.