Tera Kya Kaam Ab Dil Mein Gham-e-jaanana Aata Hai

tera kya kaam ab dil mein gham-e-jaanana aata hai

nikal ai sabr is ghar se ki sahib-KHana aata hai

nazar mein teri aankhen sar mein sauda teri zulfon ka

kai pariyon ke sae mein tera diwana aata hai

wafur-e-rahmat-e-bari hai mai-KHwaron pe in rozon

jidhar se abr uThta hai su-e-mai-KHana aata hai

lagi dil ki bujhae bekasi mein kaun hai aisa

magar ek girya-e-hasrat ki be-tabana aata hai

unhin se ghamze karti hai jo tujh par jaan dete hain

ajal tujh ko bhi kitna naz-e-mashuqana aata hai

pareshani mein ye aalam teri zulfon ka dekha hai

ki ek ek baal par qurban hone shana aata hai

chhalak jata hai jam-e-umr apna wae-nakaami

hamare munh talak saqi agar paimana aata hai

wo but hi mehrban sab apna apna haal kahte hain

lab-e-KHamosh tujh ko bhi koi afsana aata hai

tilism-e-taza tera saya-e-diwar rakhta hai

badalta hai pari ka bhes jo diwana aata hai

ye azmat rah ke zahid in buton mein hum ne pai hai

ki kaba hum ko lene ta-dar-e-mai-KHana aata hai

do-rangi se nahin KHali adam bhi surat-e-hasti

koi hoshyar aata hai koi diwana aata hai

huma yun ustuKHwan-e-soKHta par mere girta hai

taDap kar shama par jaise koi parwana aata hai

udhar hain husn ki ghaten idhar hain ishq ki baaten

tujhe afsun to mujh ko use pari afsana aata hai

kaleja hath se ahl-e-tama ke chaak hota hai

sadaf-asa agar mujh ko mayassar dana aata hai

namak jallad chhiDka chahta hai mere zaKHmon par

maze ka waqt ab ai himmat-e-mardana aata hai

zabardasti ka dhaDka wasl mein tum ko samaya hai

kidhar ho hosh mein aao koi aaya na aata hai

ilahi kis ki sham-e-husn se raushan hai ghar mera

ki ban jata hai jugnu aaj jo parwana aata hai

wo aashiq KHal-o-KHat ka hun nazr-e-mor karta hun

mayassar tisare din bhi jo mujh ko dana aata hai

'amir' aur aane wala kaun hai gor-e-ghariban par

jo raushan shama hoti hai to han parwana aata hai

(1379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Kya Kaam Ab Dil Mein Gham-e-jaanana Aata Hai In English By Famous Poet Ameer Minai. Tera Kya Kaam Ab Dil Mein Gham-e-jaanana Aata Hai is written by Ameer Minai. Read famous Poem Tera Kya Kaam Ab Dil Mein Gham-e-jaanana Aata Hai for youth and Student by Ameer Minai. Free Download Tera Kya Kaam Ab Dil Mein Gham-e-jaanana Aata Hai in PDF.