Chalo Ki KHud Hi Karen Ru-numaiyan Apni

chalo ki KHud hi karen ru-numaiyan apni

saron pe le ke chalen kaj-kulahiyan apni

sabhi ko par utarne ki justuju lekin

na baadban na samundar na kashtiyan apni

wo kah gaya hai ki ek din zarur aaunga

zara qarib se dekhunga duriyan apni

mere paDos mein aise bhi log baste hain

jo mujh mein DhunD rahe hain buraiyan apni

mujhe KHabar hai wo meri talash mein hoga

main chhoD aaya hun ek baat darmiyan apni

main bund bund ki KHairaat kab talak mangun

sameT laun samundar se sipiyan apni

mere kahe hue lafzon ki qadr-o-qimat thi

main apne kan mein kahne laga azan apni

karega sar wahi is dasht-e-be-karan ko 'amir'

jala ke aae jo sahil pe kashtiyan apni

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chalo Ki KHud Hi Karen Ru-numaiyan Apni In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Chalo Ki KHud Hi Karen Ru-numaiyan Apni is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Chalo Ki KHud Hi Karen Ru-numaiyan Apni for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Chalo Ki KHud Hi Karen Ru-numaiyan Apni in PDF.