Na Puchh Manzar-e-sham-o-sahar Pe Kya Guzri

na puchh manzar-e-sham-o-sahar pe kya guzri

nigah jab bhi haqiqat se aashna guzri

hamare waste virani-e-nazar har su

hamin ne dasht sajae hamin pe kya guzri

na jaane kaisi haqiqat ka aaina hun main

nazar nazar mere nazdik se KHafa guzri

ye zard ho gae kaise hare bhare ashjar

jo log sae mein baiThe the un pe kya guzri

ghurub hoti rahin us ki nekiyan din mein

har ek raat gunahon ki be-saza guzri

jala raha tha sar-e-sham mishalen koi

tamam raat ulajhti hui hawa guzri

na dekh paoge be-manzari ujalon ki

ye raat Dhalne lagi to koi sada guzri

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchh Manzar-e-sham-o-sahar Pe Kya Guzri In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. Na Puchh Manzar-e-sham-o-sahar Pe Kya Guzri is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem Na Puchh Manzar-e-sham-o-sahar Pe Kya Guzri for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download Na Puchh Manzar-e-sham-o-sahar Pe Kya Guzri in PDF.