Kiya Karte Hain Dildari Dil-azari Nahin Karte

kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte

hansane ke liye hum baat bazari nahin karte

mazah-o-tanz mein malhuz rakhte hain matanat ko

kabhi majruh hum karte nahin lafzon ki hurmat ko

jo kam shadab chehre hain unhen shadab karte hain

jo kam-sin hain bahut jhuk kar unhen aadab karte hain

ujale ko ujala raat ko hum raat kahte hain

saliqe se ba-andaz-e-digar har baat kahte hain

baDha kar baat duguni ya kabhi tiguni nahin kahte

kisi kam-qad hasina ko kabhi Thigni nahin kahte

kisi nazuk badan ko hum kabhi moTi nahin kahte

kisi moTi se moTi ko double-roTi nahin kahte

jo misguide kare us ko to misguide nahin karte

bhalai ko kisi bhi taur sab side nahin karte

banate hain har ek mahaul ko hum pur-faza yaro

qaba-e-gul ko chhute hain ba-andaz-e-saba yaro

kisi mis se jo nadani mein kuchh mistake ho jae

dua karte hain nadani bhi fal-e-nek ho jae

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiya Karte Hain Dildari Dil-azari Nahin Karte In English By Famous Poet Ameerul Islam Hashmi. Kiya Karte Hain Dildari Dil-azari Nahin Karte is written by Ameerul Islam Hashmi. Read famous Poem Kiya Karte Hain Dildari Dil-azari Nahin Karte for youth and Student by Ameerul Islam Hashmi. Free Download Kiya Karte Hain Dildari Dil-azari Nahin Karte in PDF.