Ye Lal Dibiya Mein Jo PaDi Hai Wo Munh Dikhai PaDi Rahegi
ye lal Dibiya mein jo paDi hai wo munh dikhai paDi rahegi
jo main bhi ruTha to subh tak tu saji sajai paDi rahegi
na tu ne pahne jo apne hathon mein meri in ungliyon ke kangan
to soch le kitni suni suni teri kalai paDi rahegi
hamare ghar se yun bhag jaane pe kya banega main sochta hun
mohalle-bhar mein kai mahinon talak dahai paDi rahegi
jahan pe cup ke kinare par ek lipstick ka nishan hoga
wahin pe ek do qadam ki duri pe ek tie paDi rahegi
har ek khane se pahle jhagDa khilaega kaun pahle luqma
hamare ghar mein to aisi baaton se hi laDai paDi rahegi
aur ab miThai ki kya zarurat main tujh se mil-jul ke ja raha hun
magar hai afsos tere hathon ki ras malai paDi rahegi
mujhe to office ke aaTh ghanTon se hol aata hai soch kar ye
hamare mabain roz barson ki ye judai paDi rahegi
jo meri mano to mere office main koi marzi ki job kar lo
ki hum ne kya kaam-wam karna hai karawai paDi rahegi
hamare sapne kuchh is tarah se jagae rakhenge raat sari
ki din chaDhe tak to meri bahon mein kasmasai paDi rahegi
is ek bistar pe aaj koi nai kahani janm na le le
agar yun hi is pe silwaTon se bhari razai paDi rahegi
meri mohabbat ke tin darje hain sahal mushkil ya ghair-mumkin
to ek hissa hi jhel paegi do tihai paDi rahegi
(5652) Peoples Rate This