KHayal-e-yar Ka Sikka Uchhaalne Mein Gaya

KHayal-e-yar ka sikka uchhaalne mein gaya

junun KHarita-e-zar tha sambhaalne mein gaya

lahu jigar ka hua sarf-e-rang-e-dast-e-hina

jo sauda sar mein tha sahra khangalne mein gaya

gurez-pa tha bahut husn-para-e-hasti

so arsa umr ka zanjir Dalne mein gaya

nihaal yaadon ki chandi mein shab to din sara

kisi ke zikr ka sona uchhaalne mein gaya

thi dast-gah bayan par magar kamal-e-hunar

gham-e-hayat ke qisson ko Talne mein gaya

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-e-yar Ka Sikka Uchhaalne Mein Gaya In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. KHayal-e-yar Ka Sikka Uchhaalne Mein Gaya is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem KHayal-e-yar Ka Sikka Uchhaalne Mein Gaya for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download KHayal-e-yar Ka Sikka Uchhaalne Mein Gaya in PDF.