Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain

saba banate hain ghuncha-dahan banate hain

tumhaare waste kya kya suKHan banate hain

sinan o tir ki lazzat lahu mein ram kare hai

hum apne aap ko kis ka hiran banate hain

ye dhaj khilati hai kya gul zara pata to chale

ki KHak-e-pa ko teri pairahan banate hain

wo gul-izar idhar aaega sau daghon se

hum apne sine ko rashk-e-chaman banate hain

shahid-e-naz ghazab ke hunar-waran nikle

lahu ke chhinTon se apna kafan banate hain

tumhaari zat hawala hai surKH-rui ka

tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banate hain

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain In English By Famous Poet Amir Hamza Saqib. Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain is written by Amir Hamza Saqib. Read famous Poem Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain for youth and Student by Amir Hamza Saqib. Free Download Saba Banate Hain Ghuncha-dahan Banate Hain in PDF.