kyun hue qatl hum par ye ilzam hai qatl jis ne kiya hai wahi muddai
qazi-e-waqt ne faisla de diya lash ko nazr-e-zindan kiya jaega
ab adalat mein ye bahs chhiDne ko hai ye jo qatil ko thoDi si zahmat hui
ye jo KHanjar mein halka sa KHam aa gaya us ka tawan kis se liya jaega