Kyun KHarabaat Mein Laf-e-hama-dani Waiz

kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz

kaun sunta hai teri harza-bayani waiz

daftar-e-waz ke nuqte bhi na honge itne

jitne hain dil mein mere dagh-e-nihani waiz

sach sahi jannat-o-dozaKH ka fasana lekin

kis tarah man lun main teri zabani waiz

be-wazu pa-e-KHum-e-baada ko chhu leta hai

KHak aati hai tujhe martaba-dani waiz

narm bhi dil suKHan-e-garm se ab tak na hua

dekh li hum ne teri shoala-bayani waiz

nek-o-bad KHub samajhta hun karun kya ki abhi

sunne deta nahin aashob-e-jawani waiz

rindi-o-zohd riyai mein hain donon yakta

misl mera hai na tera koi sani waiz

ye KHarabaat hai ja KHair se apne ghar ko

munh ki khulwae na phir tez-zabani waiz

aaj samjha gai kya tujh ko ibaadat teri

na raha mashghala-e-ashk-fishani waiz

is qadar hai jo dam-e-naza hawas duniya ki

sath le jaega kya aalam-e-fani waiz

rind hun de mujhe jam-e-mai-athar ki KHabar

tujh ko kausar ka mubarak rahe pani waiz

zard ho jata hai sun kar ruKH-e-gulgun mera

teri taqrir hai ya baad-e-KHizani waiz

naqsha firdaus ka baaton mein dikha deta hai

ye zaban hai teri ya KHama-e-mani waiz

chalte phirte nahin be-wajh ye rona mera

sath phirta hun liye gham ki nishani waiz

kya ruke KHama-e-'taslim' dam-e-fikr-e-suKHan

taba mein aaj hai dariya ki rawani waiz

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun KHarabaat Mein Laf-e-hama-dani Waiz In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Kyun KHarabaat Mein Laf-e-hama-dani Waiz is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Kyun KHarabaat Mein Laf-e-hama-dani Waiz for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Kyun KHarabaat Mein Laf-e-hama-dani Waiz in PDF.