Jagmaga UTTha Hai Rang Manch

aao zindagi zindagi khelen

ye jhuT hai ki main tumhaare liye chand toD ke la sakta hun

par is KHayal ki sachchai ko hi ishq kahte hain

ruh jab jalti hai to kundan banta hai

teri bewafai ki is se achchhi wajh aur kya ho sakti hai

subh se roTi kamane mein laga hua hun

ab jab sham ho gai hai to sharab pine ka man hota hai

mere dagh-e-dil mein ek charagh aisa bhi hai

jo amawas ki raat mein meri bujhti sanson ko garmahaT deta hai

aadmi ki khudai ka waqt kyun nahin aata

duniya mar rahi hai koi use bachane kyun nahin aata

tere aane se wo tamam adhure KHwab pure ho gae

jinhen dekhna na meri taqdir mein tha aur na tadbir mein

main ek mashhur shair nahin

par us se meri shaeri mein dard kam to nahin ho jata

kore kaghaz par bhi kuchh shabd baste hain

hum bas unhen paDh nahin pate

kaun kis ke KHilaf gawahi de

sab ke man mein ek chor to hai hi

meri gawahi us ki jaan le sakti hai

gawahi na di to mera zamir mujhe mar dega

chand doston ke afsane ab parae ho gae hain

ab khoTe sikke jeb mein rakhne ka man nahin hota

jab bhi kisi shamshan ke pas se guzarta hun

apni auqat pata lag jati hai

kal raat aaina dekh kar kyun nahin soya

subh apne hi ghar mein paraya ban gaya

har shahr har gali mein sirf logon ki chiKHen sunai detin hain

ram rahim ke is jhagDe mein un donon ke alawa sab hain

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagmaga UTTha Hai Rang Manch In English By Famous Poet Amit Gupta. Jagmaga UTTha Hai Rang Manch is written by Amit Gupta. Read famous Poem Jagmaga UTTha Hai Rang Manch for youth and Student by Amit Gupta. Free Download Jagmaga UTTha Hai Rang Manch in PDF.