SaKHawat

saKHawat hai neki ka ek bahta dariya

ki bachcho buKHalat hai KHud jalta sahra

saKHawat mein 'hatim' ka sani nahin hai

saKHawat amar hai ye fani nahin hai

saKHawat amiron pe hai farz bachcho

gharibon ka ye haq hai tum aaj sun lo

saKHawat hai iman ka ek hissa

hai barkat ka zariya saKHawat ka saya

saKHi ka hai kya martaba tum ye jaano

hai jannat mein us ki jagah tum ye mano

miyan hogi har waqt rab ki inayat

kifayat ke ham-rah kar lo saKHawat

ai 'hafiz' saKHawat har ek lamha karna

saKHi ban ke jina saKHi ban ke marna

(1078) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SaKHawat In English By Famous Poet Amjad Husain Hafiz. SaKHawat is written by Amjad Husain Hafiz. Read famous Poem SaKHawat for youth and Student by Amjad Husain Hafiz. Free Download SaKHawat in PDF.