Tawanai

ghiza se tawanai tan ko mile

hain lambe tawanai ke silsile

tawanai jiwan ki jyoti bhi hai

ye harki o poshida hoti bhi hai

tawanai taqat ka zariya bane

ye har kaam ka ek wasila bane

mashinon ki bas ahmiyat aaj hai

ki barqi tawanai ka raj hai

tawanai jis ko kahen jauhari

bane is se hathiyar sab itemi

hararat hai surat tawanai ki

na ho baat kyun-kar ye gahrai ki

hai 'hafiz' tawanai se zindagi

karo qadr har pal tawanai ki

(1189) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tawanai In English By Famous Poet Amjad Husain Hafiz. Tawanai is written by Amjad Husain Hafiz. Read famous Poem Tawanai for youth and Student by Amjad Husain Hafiz. Free Download Tawanai in PDF.