Aainon Mein Aks Na Hon To Hairat Rahti Hai

aainon mein aks na hon to hairat rahti hai

jaise KHali aankhon mein bhi wahshat rahti hai

har dam duniya ke hangame ghere rakhte the

jab se tere dhyan lage hain fursat rahti hai

karni hai to khul ke karo inkar-e-wafa ki baat

baat adhuri rah jae to hasrat rahti hai

shahr-e-suKHan mein aisa kuchh kar izzat ban jae

sab kuchh miTTi ho jata hai izzat rahti hai

bante bante Dhah jati hai dil ki har tamir

KHwahish ke bahrup mein shayad qismat rahti hai

sae larazte rahte hain shahron ki galiyon mein

rahte the insan jahan ab dahshat rahti hai

mausam koi KHushbu le kar aate jate hain

kya kya hum ko raat gae tak wahshat rahti hai

dhyan mein mela sa lagta hai biti yaadon ka

aksar us ke gham se dil ki sohbat rahti hai

phulon ki taKHti par jaise rangon ki tahrir

lauh-e-suKHan par aise 'amjad' shohrat rahti hai

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aainon Mein Aks Na Hon To Hairat Rahti Hai In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Aainon Mein Aks Na Hon To Hairat Rahti Hai is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Aainon Mein Aks Na Hon To Hairat Rahti Hai for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Aainon Mein Aks Na Hon To Hairat Rahti Hai in PDF.