Jo Din Tha Ek Musibat To Raat Bhaari Thi

jo din tha ek musibat to raat bhaari thi

guzarni thi magar zindagi, guzari thi

sawad-e-shauq mein aise bhi kuchh maqam aae

na mujh ko apni KHabar thi na kuchh tumhaari thi

larazte hathon se diwar lipTi jati thi

na puchh kis tarah taswir wo utari thi

jo pyar hum ne kiya tha wo karobar na tha

na tum ne jiti ye bazi na main ne haari thi

tawaf karte the us ka bahaar ke manzar

jo dil ki sej pe utri ajab sawari thi

tumhaara aana bhi achchha nahin laga mujh ko

fasurdagi si ajab aaj dil pe tari thi

kisi bhi zulm pe koi bhi kuchh na kahta tha

na jaane kaun si jaan thi jo itni pyari thi

hujum baDhta chala jata tha sar-e-mahfil

baDe rasan se qatil ki mashq jari thi

tamasha dekhne walon ko kaun batlata

ki is ke baad inhi mein kisi ki bari thi

wo is tarah tha mere bazuon ke halqe mein

na dil ko chain tha 'amjad' na be-qarari thi

(1155) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Din Tha Ek Musibat To Raat Bhaari Thi In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Jo Din Tha Ek Musibat To Raat Bhaari Thi is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Jo Din Tha Ek Musibat To Raat Bhaari Thi for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Jo Din Tha Ek Musibat To Raat Bhaari Thi in PDF.