Kabhi Raqs-e-sham-e-bahaar Mein Use Dekhte

kabhi raqs-e-sham-e-bahaar mein use dekhte

kabhi KHwahishon ke ghubar mein use dekhte

magar ek najm-e-sahar-numa kahin jagta

tere hijr ki shab-e-tar mein use dekhte

wo tha ek aks-e-gurez-pa so nahin ruka

kaTi umr dasht o dayar mein use dekhte

wo jo bazm mein raha be-KHabar koi aur tha

shab-e-wasl mere kanar mein use dekhte

jo azal ki lauh pe naqsh tha wahi aks tha

kabhi aap qarya-e-dar mein use dekhte

wo jo kaenat ka nur tha nahin dur tha

magar apne qurb-o-jawar mein use dekhte

yahi ab jo hai yahan naghma-KHwan yahi KHush-bayan

kisi sham ku-e-nigar mein use dekhte

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Raqs-e-sham-e-bahaar Mein Use Dekhte In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Kabhi Raqs-e-sham-e-bahaar Mein Use Dekhte is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Kabhi Raqs-e-sham-e-bahaar Mein Use Dekhte for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Kabhi Raqs-e-sham-e-bahaar Mein Use Dekhte in PDF.