Tashhir Apne Dard Ki Har Su Karaiye

tashhir apne dard ki har su karaiye

ji chahta hai minnat-e-tiflan uThaiye

KHushbu ka hath tham ke kije talash-e-rang

panw ke naqsh dekh ke rasta banaiye

phir aaj pattharon se mulaqat kijiye

phir aaj sath-e-ab pe chehre banaiye

har inkishaf dard ke parde mein aaega

gar ho sake to KHud se bhi KHud ko chhupae

phulon ka rasta nahin yaro mera safar

panw aziz hain to abhi luT jaiye

kab tak hina ke nam pe dete rahen lahu

kab tak nigar-e-dard ko dulhan banaiye

'amjad' mata-e-umr zara dekh-bhaal ke

aisa na ho ki baad mein aansu bahaiye

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tashhir Apne Dard Ki Har Su Karaiye In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Tashhir Apne Dard Ki Har Su Karaiye is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Tashhir Apne Dard Ki Har Su Karaiye for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Tashhir Apne Dard Ki Har Su Karaiye in PDF.