The KHwab Ek Hamare Bhi Aur Tumhaare Bhi

the KHwab ek hamare bhi aur tumhaare bhi

par apna khel dikhate rahe sitare bhi

ye zindagi hai yahan is tarah hi hota hai

sabhi ne bojh se lade hain kuchh utare bhi

sawal ye hai ki aapas mein hum milen kaise

hamesha sath to chalte hain do kinare bhi

kisi ka apna mohabbat mein kuchh nahin hota

ki mushtarak hain yahan sud bhi KHasare bhi

bigaD par hai jo tanqid sab baja lekin

tumhaare hisse ke jo kaam the sanware bhi

baDe sukun se Dube the Dubne wale

jo sahilon pe khaDe the bahut pukare bhi

pa jaise rail mein do ajnabi musafir hon

safar mein sath rahe yun to hum tumhaare bhi

yahi sahi teri marzi samajh na pae hum

KHuda gawah ki mubham the kuchh ishaare bhi

yahi to ek hawala hai mere hone ka

yahi giraati hai mujh ko yahi utare bhi

isi zamin mein ek din mujhe bhi sona hai

isi zamin ki amanat hain mere pyare bhi

wo ab jo dekh ke pahchante nahin 'amjad'

hai kal ki baat ye lagte the kuchh hamare bhi

(1250) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

The KHwab Ek Hamare Bhi Aur Tumhaare Bhi In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. The KHwab Ek Hamare Bhi Aur Tumhaare Bhi is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem The KHwab Ek Hamare Bhi Aur Tumhaare Bhi for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download The KHwab Ek Hamare Bhi Aur Tumhaare Bhi in PDF.