Tumhaara Hath Jab Mere Larazte Hath Se ChhuTa KHizan Ke AaKHiri Din The

tumhaara hath jab mere larazte hath se chhuTa KHizan ke aaKHiri din the

wo mohkam be-lachak wada khilaune ki tarah TuTa KHizan ke aaKHiri din the

bahaar aai na thi lekin hawaon mein nae mausam ki KHushbu raqs karti thi

achanak jab kaha tum ne mere munh par mujhe jhuTa KHizan ke aaKHiri din the

wo kya din the yahin hum ne bahaaron ki dua ki thi kisi ne bhi nahin socha

chaman walon ne mil kar jab KHud apna hi chaman luTa KHizan ke aaKHiri din the

likha tha ek taKHti par koi bhi phul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi

so jab wo bagh se guzri koi ukhDa koi TuTa KHizan ke aaKHiri din the

bahut hi zor se piTe hawa ke bain par sine hamare KHair-KHwahon ne

ki chandi ke waraq jaisa samay ne jab hamein kuTa KHizan ke aaKHiri din the

na rut thi aandhiyon ki ye na mausam tha hawaon ka to phir ye kya hua 'amjad'

har ek konpal hui zaKHmi hua majruh har buTa KHizan ke aaKHiri din the

(1404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaara Hath Jab Mere Larazte Hath Se ChhuTa KHizan Ke AaKHiri Din The In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Tumhaara Hath Jab Mere Larazte Hath Se ChhuTa KHizan Ke AaKHiri Din The is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Tumhaara Hath Jab Mere Larazte Hath Se ChhuTa KHizan Ke AaKHiri Din The for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Tumhaara Hath Jab Mere Larazte Hath Se ChhuTa KHizan Ke AaKHiri Din The in PDF.