Wo Abhi Apne Chehre Mein Utra Nahin

kis se puchhun wo kya

shaKHs hai jo meri

aarzu ke jharokon mein Thahre hue

sare chehron mein bikhra hua hai magar

KHud abhi apne chehre mein utra nahin

kis se puchhun wo kya

nam hai jo meri

dhaDkanon ke muqaddar mein marqum hai

aur wo kya ajnabi hai jo sadiyon se mere KHayalon ke qarye mein aabaad hai

magar mera surat-shanasa nahin

kis ki aawaz hai!

jo meri ruh mein naghma-parwaz hai

kaun batlaega us nagar ka pata

jis ki miTTi ki KHushbu mere jism ke waste durj hai,

jis ke diwar-o-dar meri be-KHwab aankhon se manus hain

aur jis ko kabhi main ne dekha nahin

na-rasai meri na-rasai miri!

jis ko paya na tha us ko khone ka gham

meri KHwahish ke sine ka nasur hai

kis ko aawaz dun kis ka matam karun

wo abhi apne chehre mein utra nahin

kis se puchhun mera muddaa kaun hai!

na-rasa kaun hai!

(1321) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Abhi Apne Chehre Mein Utra Nahin In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Wo Abhi Apne Chehre Mein Utra Nahin is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Wo Abhi Apne Chehre Mein Utra Nahin for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Wo Abhi Apne Chehre Mein Utra Nahin in PDF.