Jab Koi Leta Hai Mere Samne Nam-e-ghazal

jab koi leta hai mere samne nam-e-ghazal

yaad aata hai mujhe ek nazuk-andam-e-ghazal

us harim-e-naz us KHalwat-sara-e-raaz mein

barha jazbaat ne bandha hai ehram-e-ghazal

ek rashk-e-mah ka main kar raha hun tazkira

aasman se kyun na ho uncha mera baam-e-ghazal

mai-kada bhi gunj uTTha shor-e-nosha-nosh se

kis qadar hai kaif-awar ye mera jam-e-ghazal

nau-ba-nau taza-ba-taza jalwa-e-shadab-e-husn

kar sake kis tarah aaKHir koi itmam-e-ghazal

aks-e-zan ho jis ke dil mein partaw-e-rangin-e-yar

kaun kah sakta hai 'najmi' us ko nakaam-e-ghazal

dekhte hain gosha-e-chashm-e-haya se wo mujhe

mil raha hai aaj 'najmi' mujh ko inam-e-ghazal

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Koi Leta Hai Mere Samne Nam-e-ghazal In English By Famous Poet Amjad Najmi. Jab Koi Leta Hai Mere Samne Nam-e-ghazal is written by Amjad Najmi. Read famous Poem Jab Koi Leta Hai Mere Samne Nam-e-ghazal for youth and Student by Amjad Najmi. Free Download Jab Koi Leta Hai Mere Samne Nam-e-ghazal in PDF.