Aks Kitne Utar Gae Mujh Mein

aks kitne utar gae mujh mein

phir na jaane kidhar gae mujh mein

main ne chaha tha zaKHm bhar jaen

zaKHm hi zaKHm bhar gae mujh mein

main wo pal tha jo kha gaya sadiyan

sab zamane guzar gae mujh mein

ye jo main hun zara sa baqi hun

wo jo tum the wo mar gae mujh mein

mere andar thi aisi tariki

aa ke aaseb Dar gae mujh mein

pahle utra main dil ke dariya mein

phir samundar utar gae mujh mein

kaisa mujh ko bana diya 'ammar'

kaun sa rang bhar gae mujh mein

(7721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Kitne Utar Gae Mujh Mein In English By Famous Poet Ammar Iqbal. Aks Kitne Utar Gae Mujh Mein is written by Ammar Iqbal. Read famous Poem Aks Kitne Utar Gae Mujh Mein for youth and Student by Ammar Iqbal. Free Download Aks Kitne Utar Gae Mujh Mein in PDF.