Mujhse Banta Hua Tu Tujhko Banata Hua Main

mujh se banta hua tu tujh ko banata hua main

git hota hua tu git sunata hua main

ek kuze ke tasawwur se juDe hum donon

naqsh deta hua tu chaak ghumata hua main

tum banao kisi taswir mein koi rasta

main banata hun kahin dur se aata hua main

ek taswir ki takmil ke hum do pahlu

rang bharta hua tu rang banata hua main

mujh ko le jae kahin dur bahati hui tu

tujh ko le jaun kahin dur uData hua main

ek ibarat hai jo tahrir nahin ho pai

mujh ko likhta hua tu tujh ko miTata hua main

mere sine mein kahin KHud ko chhupata hua tu

tere sine se tera dard churaata hua main

kanch ka ho ke mere aage bikharta hua tu

kirchiyon ko teri palkon se uThata hua main

(4465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Banta Hua Tu Tujhko Banata Hua Main In English By Famous Poet Ammar Iqbal. Mujhse Banta Hua Tu Tujhko Banata Hua Main is written by Ammar Iqbal. Read famous Poem Mujhse Banta Hua Tu Tujhko Banata Hua Main for youth and Student by Ammar Iqbal. Free Download Mujhse Banta Hua Tu Tujhko Banata Hua Main in PDF.